Thursday 8 March 2012

Bhool gaye hain ki, joote kahan utaare the.

Udaan, a  Hindi film produced by Sanjay Singh, Anurag Kashyap, and Ronnie Screwvala; and directed by Vikramaditya Motwane.

An amazing movie with unique script and a amazing direction. 
It has some of the heart lines .....

Poem1:-

Chhoti-chhoti chhitrayi yaadein
Bichhi hui hain lamhon ki lawn par.
Nange pair unpar chalte-chalte
Itni door aa aaye
Ki ab bhool gaye hain –
Joote kahan utaare the.

Aedi komal thi, jab aaye the.
Thodi si naazuk hai abhi bhi.
Aur nazuk hi rahegi
In khatti-meethi yaadon ki shararat
Jab tak inhe gudgudati rahe.

Sach, bhool gaye hain
Ki joote kahan utaare the.
Par lagta hai,
Ab unki zaroorat nahin.



Poem 2:-

Har Baal Ki Khaal Ki yeh Chhaal bhi kha Jaaye
Iske Haat Pad Jaaye Toh Mahine Saal Bhi Kha Jaaye
Kisi Behaal Ka Bacha Haal woh haal Kha Jaaye
Bemaut Marate Mann Ka Yeh Malaal Kha Jaaye
Laalu Ka Laal Kha Jaaye Naksalbaari Ki Naal Kha Jaaye
Bachpan Ka Dhamaal Kha Jaaye, Budhaape Ki Shaal Kha Jaaye
Haya Toh Chhodo Behaya Ki Chaal Bhi Kha Jaaye
Aur Agar Parosha Jaa Sake Toh Khayaal Bhi Kha Jaaye


Poem 3:- 


Jo lehron se aage nazar dekh paati toh tum jaan lete main kya sochta hoon,
Wo aawaz tumko bhi jo bhed jaati toh tum jaan lete main kya sochta hoon.
Zid ka tumhare jo parda sarakta ,khidkiyon se aage bhi tum dekh paate,
Aankhon se aadaton ki jo palken hatate toh tum jaan lete main kya sochta hoon.

Meri tarah hota agar khud par zara bharosa toh kuchh door tum bhi saath-saath aate,
Rang meri aankhon ka baant-te zara sa ,toh kuchh door tum bhi saath-saath aate,
Nasha aasmaan ka jo choomta tumhe , hasraten tumhari naya janm paatin,
Khud doosre janam mein meri udaan chhoone kuchh door tum bhi saath-saath aate.

No comments:

Post a Comment