Saturday 3 March 2012

Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai

                                     

                   Sarfaroshi ki tamanna ab hamaare dil mein hai
                   Dekhna hai zor kitna baazu-e-qaatil mein hai

Kya soche tum Bismil zaroorat sirf Freedom ki hai?
‘Aazaad Bharat kamyaab Bharat’ har Shaheed gaya yeh Keh!

Is mulk ko apno ne loota dum kahaa gairo mein hai
Khaa rahe watan ko ‘Bhrashtachari’ bhare shehro mein hai

Aaj ke neta hai Superchor,
Imaan bacha sirf fiction mein hai

Utni hi Sachai baaki ab inmein,
Jitni Poonam Pandey ke vaado mein hai

Corruption mein yeh mulk hai doobta hi jaa rahaa
Aur naujawaano ka josh dikhta sirf unke Tweets mein hai
.
Har Launda ‘chakkar’ laundiya ki gali lagaa rahaa
Kyu na bigdenge aaj ke bache jab Tharak bhari har Geet mein hai

College toh ban kar reh gaye hai ‘places’ hangout ke liye
Degree ki keemat toh padhti sirf dahej ki Deal mein hai

Notebook khol padhne ka time kisko hi milta hai Bismil
Par Facebook login karte sabhi sau baar din mein hai

Paisa-Power aur Publicity, sab afsar inki Greed mein hai
Aam aadmi toh bass katputli, Lagaa Rozi-Roti ki Need mein hai

Dekho Rakhi ka nayaa naatak, Baba-on ko kehti hai Hot
Aise logo ke hi charche, biki hui Media mein hain

Na hona udaas Bismil dekh kar tum yeh ‘andhera’
Udaan Bharega yeh mulk, ek din aayega savera

Zaroor badlega yeh watan, Bharosa abhi bhi hum mein hai
65 saal ho gaye kehne ko,  kuch aur baaki Freedom mein hai

No comments:

Post a Comment